daroon-e-khwaab koi shakl muskuraati hai
main chup rahoon to mere saath gungunaati hai
qaza se uljhe hue sogwaar haathon mein
hamaare naam ki mehndi lagaaee jaati hai
ye rukhsati ka samay bhi ajab hai aakhir-e-shab
ki chudiyon ki khanak aur badhti jaati hai
jamaal aur kisi ka hai mere chehre par
badan mein aur koi rooh tilmilati hai
ye raat sahmi sisakti hui dulhan ki tarah
liptati jaati hai sharminda hoti jaati hai
दरून-ए-ख़्वाब कोई शक्ल मुस्कुराती है
मैं चुप रहूँ तो मिरे साथ गुनगुनाती है
क़ज़ा से उलझे हुए सोगवार हाथों में
हमारे नाम की मेहंदी लगाई जाती है
ये रुख़्सती का समय भी अजब है आख़िर-ए-शब
कि चूड़ियों की खनक और बढ़ती जाती है
जमाल और किसी का है मेरे चेहरे पर
बदन में और कोई रूह तिलमिलाती है
ये रात सहमी सिसकती हुई दुल्हन की तरह
लिपटती जाती है शर्मिंदा होती जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osama Khalid
our suggestion based on Osama Khalid
As you were reading Andhera Shayari Shayari