dard tera tha tire yaar se lag kar roya
ya'ni beemaar tha beemaar se lag kar roya
sakht kohraam-zada shakhs tha mera hamdard
yun laga jaise main bazaar se lag kar roya
chaar soo phail gaya zard udaasi ka hisaar
koi dar se koi deewaar se lag kar roya
kis ne bharkaai mere jism mein tasleem ki aag
kaun mujh mein tire inkaar se lag kar roya
neend bechain thi beemaar ki aankhon ke liye
khwaab ka zakham azaadaar se lag kar roya
दर्द तेरा था तिरे यार से लग कर रोया
या'नी बीमार था बीमार से लग कर रोया
सख़्त कोहराम-ज़दा शख़्स था मेरा हमदर्द
यूँ लगा जैसे मैं बाज़ार से लग कर रोया
चार सू फैल गया ज़र्द उदासी का हिसार
कोई दर से कोई दीवार से लग कर रोया
किस ने भड़काई मिरे जिस्म में तस्लीम की आग
कौन मुझ में तिरे इंकार से लग कर रोया
नींद बेचैन थी बीमार की आँखों के लिए
ख़्वाब का ज़ख़्म अज़ादार से लग कर रोया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osama Khalid
our suggestion based on Osama Khalid
As you were reading Charagh Shayari Shayari