jahaan-e-giryaa jo aadam ko khuld ka dukh hai | जहान-ए-गिर्या जो आदम को ख़ुल्द का दुख है

  - Osama Khalid

jahaan-e-giryaa jo aadam ko khuld ka dukh hai
isee lihaaz se dharti hawa khala dukh hai

kabhi firaq ki raaton mein aaina dekhoon
to khud se kehta hoon dekho ye aaina dukh hai

shadeed rona to andar ka habs ghutna hai
khichaav hansne se padta hai qahqaha dukh hai

zameen gol hai meri wafaat ne khola
ki dost ammi se kahte the ye bada dukh hai

main baanjh ped hoon saaya na fal mere oopar
mujhe samay de kabhi pooch mujh ko kya dukh hai

tamaam khushiyaan ikatthi theen ek dukh ke gird
unhen dhakel ke cheekha hato mera dukh hai

main khud se jang mein haara hua sipaahi hoon
ki jis ka raabta number ata-pata dukh hai

जहान-ए-गिर्या जो आदम को ख़ुल्द का दुख है
इसी लिहाज़ से धरती हवा ख़ला दुख है

कभी फ़िराक़ की रातों में आइना देखूँ
तो ख़ुद से कहता हूँ देखो ये आइना दुख है

शदीद रोना तो अंदर का हब्स घुटना है
खिचाव हँसने से पड़ता है क़हक़हा दुख है

ज़मीन गोल है मेरी वफ़ात ने खोला
कि दोस्त अम्मी से कहते थे ये बड़ा दुख है

मैं बाँझ पेड़ हूँ साया न फल मिरे ऊपर
मुझे समय दे कभी पूछ मुझ को क्या दुख है

तमाम ख़ुशियाँ इकट्ठी थीं एक दुख के गिर्द
उन्हें धकेल के चीख़ा हटो मिरा दुख है

मैं ख़ुद से जंग में हारा हुआ सिपाही हूँ
कि जिस का राब्ता नंबर अता-पता दुख है

  - Osama Khalid

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Osama Khalid

As you were reading Shayari by Osama Khalid

Similar Writers

our suggestion based on Osama Khalid

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari