sakht wahshi hoon bila-wajh bifar jaata hoon | सख़्त वहशी हूँ बिला-वज्ह बिफर जाता हूँ

  - Osama Khalid

sakht wahshi hoon bila-wajh bifar jaata hoon
is liye apni taraf jaaun to dar jaata hoon

ek hi tarz ki vehshat se bhare rahte hain
main agar dasht nahin jaata to ghar jaata hoon

chaar chhe inch ki doori se mera saaya mujhe
ik sada deta hai main baar-e-digar jaata hoon

baaz auqaat udaasi ko manaane ke liye
apne hone ki daleelon se mukar jaata hoon

lafz bunte hue aata hoon sadak par aur phir
jaane kya dhyaan mein aata hai thehar jaata hoon

ghar se daftar gaya daftar se ghar aaya ab dasht
vaise banta to nahin jaana magar jaata hoon

सख़्त वहशी हूँ बिला-वज्ह बिफर जाता हूँ
इस लिए अपनी तरफ़ जाऊँ तो डर जाता हूँ

एक ही तर्ज़ की वहशत से भरे रहते हैं
मैं अगर दश्त नहीं जाता तो घर जाता हूँ

चार छे इंच की दूरी से मिरा साया मुझे
इक सदा देता है मैं बार-ए-दिगर जाता हूँ

बाज़ औक़ात उदासी को मनाने के लिए
अपने होने की दलीलों से मुकर जाता हूँ

लफ़्ज़ बुनते हुए आता हूँ सड़क पर और फिर
जाने क्या ध्यान में आता है ठहर जाता हूँ

घर से दफ़्तर गया दफ़्तर से घर आया अब दश्त
वैसे बनता तो नहीं जाना मगर जाता हूँ

  - Osama Khalid

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Osama Khalid

As you were reading Shayari by Osama Khalid

Similar Writers

our suggestion based on Osama Khalid

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari