aankhon mein chand khwaab-numa teer gad gaye
bahte lahu ke dar se papote sikud gaye
main aag ke qareeb se guzra na tha kabhi
thandak ki narm dhoop se dhaage udhad gaye
kuchh bediyo ne khasta kiya jism-o-jaan ko
manzar tak aate aate mere paanv jhad gaye
kaisi daleelen kaisi munaajat kuchh nahin
tujh se bichadna tha jinhen khud se bichhad gaye
maangi na thi dua kabhi main ne phir ek shab
uthne ki der thi ki mere haath jhad gaye
आँखों में चंद ख़्वाब-नुमा तीर गड़ गए
बहते लहू के डर से पपोटे सिकुड़ गए
मैं आग के क़रीब से गुज़रा न था कभी
ठंडक की नर्म धूप से धागे उधड़ गए
कुछ बेड़ियों ने ख़स्ता किया जिस्म-ओ-जान को
मंज़र तक आते आते मिरे पाँव झड़ गए
कैसी दलीलें कैसी मुनाजात कुछ नहीं
तुझ से बिछड़ना था जिन्हें ख़ुद से बिछड़ गए
माँगी न थी दुआ कभी मैं ने फिर एक शब
उठने की देर थी कि मिरे हाथ झड़ गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osama Khalid
our suggestion based on Osama Khalid
As you were reading Hijrat Shayari Shayari