mera saaya bhi agar baab-e-tarb tak aaya | मेरा साया भी अगर बाब-ए-तरब तक आया

  - Osama Khalid

mera saaya bhi agar baab-e-tarb tak aaya
kehna badnaam-e-zamaana tha nasab tak aaya

dhund hi dhund thi har samt phir ik samt se main
saamne dikhta hua apne aqab tak aaya

bad-naseebi mein yahi baat buri hai yahi baat
koi bhi zahar nahin meri talab tak aaya

haath aayi hui ik mauj-e-fana phail gai
jab koi jhonka tire jaan-b-lab tak aaya

sharm se bheegi hui poron mein atka hua jhooth
kabhi peshaani tak aaya kabhi lab tak aaya

मेरा साया भी अगर बाब-ए-तरब तक आया
कहना बदनाम-ए-ज़माना था नसब तक आया

धुंद ही धुंद थी हर सम्त फिर इक सम्त से मैं
सामने दिखता हुआ अपने अक़ब तक आया

बद-नसीबी में यही बात बुरी है यही बात
कोई भी ज़हर नहीं मेरी तलब तक आया

हाथ आई हुई इक मौज-ए-फ़ना फैल गई
जब कोई झोंका तिरे जान-ब-लब तक आया

शर्म से भीगी हुई पोरों में अटका हुआ झूट
कभी पेशानी तक आया कभी लब तक आया

  - Osama Khalid

Haya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Osama Khalid

As you were reading Shayari by Osama Khalid

Similar Writers

our suggestion based on Osama Khalid

Similar Moods

As you were reading Haya Shayari Shayari