kis ka aks numayaan hoga aise gadle paani mein
suraj doob gaya hai mere aangan ki veeraani mein
is ghar ki deewaar mein jaane kis ke kaan fanse honge
sirf yahi dar laahiq hai mujh ko har naql-e-makaani mein
hijr ki shab raushan tha ghar mein ek sitaara aur charaagh
aankh jhapakne tak ka waqt nahin tha is hairaani mein
mujh se pehle bhi kuchh wahshi is uljhan mein faut hue
aakhir kis ka dast-e-junoon hai vehshat ki aasaani mein
surkh andhera chhatne ki minnat ka feeka zard charaagh
chhod diya hai saanp kisi ne jheel ke saada paani mein
jaise kisi ne bacchon waale ghar mein saanp ko rakhna ho
aise mujhe dar lagta hai is hijraan ki nigraani mein
किस का अक्स नुमायाँ होगा ऐसे गदले पानी में
सूरज डूब गया है मेरे आँगन की वीरानी में
इस घर की दीवार में जाने किस के कान फँसे होंगे
सिर्फ़ यही डर लाहिक़ है मुझ को हर नक़्ल-ए-मकानी में
हिज्र की शब रौशन था घर में एक सितारा और चराग़
आँख झपकने तक का वक़्त नहीं था इस हैरानी में
मुझ से पहले भी कुछ वहशी इस उलझन में फ़ौत हुए
आख़िर किस का दस्त-ए-जुनूँ है वहशत की आसानी में
सुर्ख़ अंधेरा छटने की मिन्नत का फीका ज़र्द चराग़
छोड़ दिया है साँप किसी ने झील के सादा पानी में
जैसे किसी ने बच्चों वाले घर में साँप को रखना हो
ऐसे मुझे डर लगता है इस हिज्राँ की निगरानी में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osama Khalid
our suggestion based on Osama Khalid
As you were reading Narazgi Shayari Shayari