paanv ka dhyaan to hai raah ka dar koi nahin | पाँव का ध्यान तो है राह का डर कोई नहीं

  - Osama Khalid

paanv ka dhyaan to hai raah ka dar koi nahin
mujh ko lagta hai mera zaad-e-safar koi nahin

baaz auqaat to main khud pe bahut cheekhta hoon
cheekhta hoon ki udhar jaao jidhar koi nahin

sar pe deewaar ka saaya bhi udaasi hai mujhe
zaahiran aisi udaasi ka asar koi nahin

aakhiri baar mujhe kheench ke seene se laga
aur phir dekh mujhe maut ka dar koi nahin

khud-kushi karte samay poochta hoon mera aziz
aur awaaz si aati hai to mera koi nahin

bhari duniya hai sisakne mein jhijak hogi tumhein
ye mera dil hai idhar ro lo idhar koi nahin

ek din log mujhe takht-nasheen dekhenge
ya ye dekhenge mera jism hai sar koi nahin

us ki hijrat bada a'saab-shikan saanehaa thi
shehar to shehar hai jungle mein shajar koi nahin

subh se raat ki maayusi bhagaane ka sabab
koi to hota mere dost magar koi nahin

be-khayaali si mujhe god mein bhar leti hai
dar pe dastak ho to kah deta hoon ghar koi nahin

पाँव का ध्यान तो है राह का डर कोई नहीं
मुझ को लगता है मिरा ज़ाद-ए-सफ़र कोई नहीं

बाज़ औक़ात तो मैं ख़ुद पे बहुत चीख़ता हूँ
चीख़ता हूँ कि उधर जाओ जिधर कोई नहीं

सर पे दीवार का साया भी उदासी है मुझे
ज़ाहिरन ऐसी उदासी का असर कोई नहीं

आख़िरी बार मुझे खींच के सीने से लगा
और फिर देख मुझे मौत का डर कोई नहीं

ख़ुद-कुशी करते समय पूछता हूँ मेरा अज़ीज़
और आवाज़ सी आती है तो मिरा कोई नहीं

भरी दुनिया है सिसकने में झिजक होगी तुम्हें
ये मिरा दिल है इधर रो लो इधर कोई नहीं

एक दिन लोग मुझे तख़्त-नशीं देखेंगे
या ये देखेंगे मिरा जिस्म है सर कोई नहीं

उस की हिजरत बड़ा आ'साब-शिकन सानेहा थी
शहर तो शहर है जंगल में शजर कोई नहीं

सुब्ह से रात की मायूसी भगाने का सबब
कोई तो होता मिरे दोस्त मगर कोई नहीं

बे-ख़याली सी मुझे गोद में भर लेती है
दर पे दस्तक हो तो कह देता हूँ घर कोई नहीं

  - Osama Khalid

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Osama Khalid

As you were reading Shayari by Osama Khalid

Similar Writers

our suggestion based on Osama Khalid

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari