koi malaal hoon dukh hoon batao kya hoon main
dinon ke ba'ad kisi shakhs ko dikha hoon main
ye kaun paalta firta hai hijr ka aaseb
mujhe bataaya gaya tha ki mar chuka hoon main
jigar ke haath lapakte hain aankh ki jaanib
kuchh aisi tarz se giryaa-kunaan hua hoon main
kabhi kabhi meri aankhen jawaab deti hain
kabhi kabhi tujhe itna sawaalta hoon main
kisi ke ashk mere gaal choo ke girte the
kisi ke qurb mein itna bhi rah chuka hoon main
tumhaara hijr mere saath rahna chahta hai
use batao ki is se bahut bada hoon main
behisht fenk chuki hai zameen par mujh ko
khuda ka shukr tujhe raas aa gaya hoon main
कोई मलाल हूँ दुख हूँ बताओ क्या हूँ मैं
दिनों के बा'द किसी शख़्स को दिखा हूँ मैं
ये कौन पालता फिरता है हिज्र का आसेब
मुझे बताया गया था कि मर चुका हूँ मैं
जिगर के हाथ लपकते हैं आँख की जानिब
कुछ ऐसी तर्ज़ से गिर्या-कुनाँ हुआ हूँ मैं
कभी कभी मिरी आँखें जवाब देती हैं
कभी कभी तुझे इतना सवालता हूँ मैं
किसी के अश्क मिरे गाल छू के गिरते थे
किसी के क़ुर्ब में इतना भी रह चुका हूँ मैं
तुम्हारा हिज्र मिरे साथ रहना चाहता है
उसे बताओ कि इस से बहुत बड़ा हूँ मैं
बहिश्त फेंक चुकी है ज़मीन पर मुझ को
ख़ुदा का शुक्र तुझे रास आ गया हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osama Khalid
our suggestion based on Osama Khalid
As you were reading Udas Shayari Shayari