siyaah kamre mein jab subh ka ujaala hua
zameen-bos hua main falak se tapka hua
tum aftaab ko kirnon ki bheek deti hui
main ek shab ke andhere mein saans leta hua
zameen pe phaili hui dhoop us sharaare ki
aur ek saaya mere saath saath bujhta hua
kisi ne neend pahan li kisi ki utri hui
kisi ne khwaab uthaya kisi ka fenka hua
ye pehli baar koi jang raas aayi mujhe
main is tak aa gaya dushman shumaar hota hua
udaas baithi hui dhoop sust naav mein hai
daroon-e-dariya koi jism tilmilaata hua
सियाह कमरे में जब सुब्ह का उजाला हुआ
ज़मीन-बोस हुआ मैं फ़लक से टपका हुआ
तुम आफ़्ताब को किरनों की भीक देती हुई
मैं एक शब के अँधेरे में साँस लेता हुआ
ज़मीं पे फैली हुई धूप उस शरारे की
और एक साया मिरे साथ साथ बुझता हुआ
किसी ने नींद पहन ली किसी की उतरी हुई
किसी ने ख़्वाब उठाया किसी का फेंका हुआ
ये पहली बार कोई जंग रास आई मुझे
मैं इस तक आ गया दुश्मन शुमार होता हुआ
उदास बैठी हुई धूप सुस्त नाव में है
दरून-ए-दरिया कोई जिस्म तिलमिलाता हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osama Khalid
our suggestion based on Osama Khalid
As you were reading Kashti Shayari Shayari