tumhaari duniya ke baahar andar bhatk raha hoon
main ba'd-e-tark-e-jahaan yahi par bhatk raha hoon
main tujh se milne samay se pehle pahunch gaya tha
so tere ghar ke qareeb aa ke bhatk raha hoon
main ek khaana-b-dosh hoon jis ka ghar hai duniya
so apne kaandhon pe le ke ye ghar bhatk raha hoon
main har qadam par sambhal sambhal kar bhatkne waala
bhatkne waalon se kaafi behtar bhatk raha hoon
तुम्हारी दुनिया के बाहर अंदर भटक रहा हूँ
मैं बा'द-ए-तर्क-ए-जहाँ यही पर भटक रहा हूँ
मैं तुझ से मिलने समय से पहले पहुँच गया था
सो तेरे घर के क़रीब आ के भटक रहा हूँ
मैं एक ख़ाना-ब-दोश हूँ जिस का घर है दुनिया
सो अपने काँधों पे ले के ये घर भटक रहा हूँ
मैं हर क़दम पर सँभल सँभल कर भटकने वाला
भटकने वालों से काफ़ी बेहतर भटक रहा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pallav Mishra
our suggestion based on Pallav Mishra
As you were reading Duniya Shayari Shayari