ishq dil ka tilmilaana muskurana ishq hai | इश्क़ दिल का तिलमिलाना मुस्कुराना इश्क़ है - Parul Singh "Noor"

ishq dil ka tilmilaana muskurana ishq hai
ek do pal ka nahi hai ik zamaana ishq hai

jaan kar bhi kismaton ke khel muskaate hue
haath thaame bas lakeeron ko milaana ishq hai

us gali se yaar ki hai jo mahak aati mere
choo mujhe uska saba mein laut jaana ishq hai

chaahaton ke sar pe ye ilzaam hai to hai galat
maar deta hai zamaana aur bahaana ishq hai

baandh deta hai zamaana kyun rivaazon mein ise
kaun kehta hai khata hai sufiyaana ishq hai

dhoondhti ho mehfilon mein jab kisi ko aankh tab
naam sunke yaar ka nazren uthaana ishq hai

baant lena do nivaale pyaar se apno ke saath
muflisi ko muskuraakar aazmaana ishq hai

sookh jaata jald hai phir bhi nishaani ke liye
phool ik chupke kitaabon mein chhipaana ishq hai

kaun jismoon pe mare jab rooh pe ik naam ho
bas nazar ka hi yahan milna milaana ishq hai

इश्क़ दिल का तिलमिलाना मुस्कुराना इश्क़ है
एक दो पल का नही है इक ज़माना इश्क़ है

जान कर भी किस्मतों के खेल मुस्काते हुए
हाथ थामे बस लकीरों को मिलाना इश्क़ है

उस गली से यार की है जो महक आती मेरे
छू मुझे उसका सबा में लौट जाना इश्क़ है

चाहतों के सर पे ये इल्ज़ाम है तो है ग़लत
मार देता है ज़माना और बहाना इश्क़ है

बाँध देता है ज़माना क्यों रिवाज़ों में इसे
कौन कहता है ख़ता है सूफियाना इश्क़ है

ढूँढती हो महफ़िलों में जब किसी को आँख तब
नाम सुनके यार का नज़रें उठाना इश्क़ है

बाँट लेना दो निवाले प्यार से अपनो के साथ
मुफ़लिसी को मुस्कुराकर आज़माना इश्क़ है

सूख जाता जल्द है फिर भी निशानी के लिए
फूल इक छुपके किताबों में छिपाना इश्क़ है

कौन जिस्मों पे मरे जब रूह पे इक नाम हो
बस नज़र का ही यहाँ मिलना मिलाना इश्क़ है

- Parul Singh "Noor"
2 Likes

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parul Singh "Noor"

As you were reading Shayari by Parul Singh "Noor"

Similar Writers

our suggestion based on Parul Singh "Noor"

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari