andeshon ke darwaazon par
koi nishaan lagata hai
aur raaton raat tamaam gharo par
wahi siyaahi phir jaati hai
dukh ka shab khun roz adhoora rah jaata hai
aur shanaakht ka lamha beetata jaata hai
main aur mera shahr-e-mohabbat
taarikee ki chadar odhe
raushni ki aahat par kaan lagaaye kab se baithe hain
ghodon ki taapon ko sunte rahte hain
had-e-samaat se aage jaane waali aawazon ke resham se
apni roo-e-siyaah pe taare kaadhte rahte hain
angushta ne ik ik kar ke chhalni hone ko aaye
ab baari angusht-e-shahaadat ki aane waali hai
subh se pehle vo katne se bach jaaye to
अंदेशों के दरवाज़ों पर
कोई निशान लगाता है
और रातों रात तमाम घरों पर
वही सियाही फिर जाती है
दुख का शब ख़ूँ रोज़ अधूरा रह जाता है
और शनाख़्त का लम्हा बीतता जाता है
मैं और मेरा शहर-ए-मोहब्बत
तारीकी की चादर ओढ़े
रौशनी की आहट पर कान लगाए कब से बैठे हैं
घोड़ों की टापों को सुनते रहते हैं
हद-ए-समाअत से आगे जाने वाली आवाज़ों के रेशम से
अपनी रू-ए-सियाह पे तारे काढ़ते रहते हैं
अँगुश्ता ने इक इक कर के छलनी होने को आए
अब बारी अंगुश्त-ए-शहादत की आने वाली है
सुब्ह से पहले वो कटने से बच जाए तो!
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Raushni Shayari Shayari