dastoor-e-ishq mein gar ham pe dil tera bhi nisaar hota | दस्तूर-ए-इश्क़ में गर हम पे दिल तेरा भी निसार होता

  - Prakash Pandey

dastoor-e-ishq mein gar ham pe dil tera bhi nisaar hota
to neend ki inaayat hoti aur aankhon mein qaraar hota

ye teri dil-firoz baatein ye tere ulfat ke vaade
haseen hoti ye zindagi agar tujh pe aitbaar hota

ye ishrat-e-deed sharaab si hai par deed teri udhaar si hai
ki fer lete tujh se nazrein gar in pe ikhtiyaar hota

teri chaahat ki chaahat mein ham sab kuchh bhule baithe hain
ai kaash tujh se na pyaar hota na pyaar ka intizaar hota

ye sohbat ki ruswaai hai gar qurbat mein tanhaai hai
jo darmiyaan na deewaar hota haal-e-dil aashkaar hota

yun jeena to dushwaar hai ye par kya kijeye ki pyaar hai ye
haan gar tu gham-gusaar hota to ye dil khush-gawaar hota

दस्तूर-ए-इश्क़ में गर हम पे दिल तेरा भी निसार होता
तो नींद की इनायत होती और आँखों में क़रार होता

ये तेरी दिल-फ़रोज़ बातें ये तेरे उल्फ़त के वादे
हसीन होती ये ज़िंदगी अगर तुझ पे ऐतबार होता

ये इशरत-ए-दीद शराब सी है पर दीद तेरी उधार सी है
कि फेर लेते तुझ से नज़रें गर इन पे इख़्तियार होता

तेरी चाहत की चाहत में हम सब कुछ भूले बैठे हैं
ऐ काश तुझ से न प्यार होता न प्यार का इंतिज़ार होता

ये सोहबत की रुसवाई है गर क़ुर्बत में तन्हाई है
जो दरमियाँ न दीवार होता हाल-ए-दिल आश्कार होता

यूँ जीना तो दुश्वार है ये पर क्या कीजे कि प्यार है ये
हाँ गर तू ग़म-गुसार होता तो ये दिल ख़ुश-गवार होता

  - Prakash Pandey

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prakash Pandey

As you were reading Shayari by Prakash Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Prakash Pandey

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari