saath jeene ka tere haq jo agar mil jaata | साथ जीने का तेरे हक़ जो अगर मिल जाता - Parvez Shaikh

saath jeene ka tere haq jo agar mil jaata
dil mera baagh ke phoolon kii tarah khil jaata

khud ko main gar na bacha paata haseenaon se
jaan se mera hamesha ke liye dil jaata

lashkari aankhon se bachta na agar main uski
khaak mein khud main hamesha ke liye mil jaata

mera mushkil mein koii saath nahin deta agar
qatl kar ke jo mera sir koii qaateel jaata

rang ud jaata tere rookh ka bhi parvez miyaan
tu wafa ke bane khanjar se agar chil jaata

साथ जीने का तेरे हक़ जो अगर मिल जाता
दिल मिरा बाग़ के फूलों की तरह खिल जाता

ख़ुद को मैं गर न बचा पाता हसीनाओं से
जान से मेरा हमेशा के लिए दिल जाता

लश्करी आँखों से बचता न अगर मैं उसकी
ख़ाक में ख़ुद मैं हमेशा के लिए मिल जाता

मेरा मुश्किल में कोई साथ नहीं देता अगर
क़त्ल कर के जो मेरा सिर कोई क़ातिल जाता

रंग उड़ जाता तेरे रूख़ का भी 'परवेज़ मियाँ'
तू वफ़ा के बने ख़ंजर से अगर छिल जाता

- Parvez Shaikh
0 Likes

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Shaikh

As you were reading Shayari by Parvez Shaikh

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Shaikh

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari