ba-khabar tha ik nazar mein do-jahaan le jaayega
meri jaan ban kar vo ik din meri jaan le jaayega
aakhri hichki se pehle chaara-gar se pooch luun
jo nazar aata nahin rishta kahaan le jaayega
may-kada dair-o-haram ya koi deewano ki bazm
tujh se ye bichhda hua lamha kahaan le jaayega
vo jo pichhle saal sab kheton ko sona de gaya
ab ke vo toofaan kis kis ka makaan le jaayega
vo chala jaayega mujh se kar ke iqrar-e-wafa
tod jaayega safeena baadbaan le jaayega
ishq mein us ne jalana hi nahin seekha kabhi
aag de jaayega mujh ko khud dhuaan le jaayega
बा-ख़बर था इक नज़र में दो-जहाँ ले जाएगा
मेरी जाँ बन कर वो इक दिन मेरी जाँ ले जाएगा
आख़िरी हिचकी से पहले चारा-गर से पूछ लूँ
जो नज़र आता नहीं रिश्ता कहाँ ले जाएगा
मय-कदा दैर-ओ-हरम या कोई दीवानों की बज़्म
तुझ से ये बिछड़ा हुआ लम्हा कहाँ ले जाएगा
वो जो पिछले साल सब खेतों को सोना दे गया
अब के वो तूफ़ान किस किस का मकाँ ले जाएगा
वो चला जाएगा मुझ से कर के इक़रार-ए-वफ़ा
तोड़ जाएगा सफ़ीना बाद-बाँ ले जाएगा
इश्क़ में उस ने जलाना ही नहीं सीखा कभी
आग दे जाएगा मुझ को ख़ुद धुआँ ले जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Jalalabadi
our suggestion based on Qamar Jalalabadi
As you were reading Relationship Shayari Shayari