aansu ki ek boond palak par jamee rahi
phir us ke ba'ad saari fazaa shabnami rahi
tark-e-taalluqaat mein us ki khata bhi thi
thodi bahut wafa mein idhar bhi kami rahi
baadal ghamon ke kab se baras kar chale gaye
aankhon mein is sabab se abhi tak nami rahi
oopar se zakhm-e-hijr ko to ham ne bhar diya
andar se kaifiyat to magar maatami rahi
yaaraan-e-rafta yun bhi bahut tez-gaam the
aur ham chale to paanv ki gardish thami rahi
आँसू की एक बूँद पलक पर जमी रही
फिर उस के बा'द सारी फ़ज़ा शबनमी रही
तर्क-ए-तअल्लुक़ात में उस की ख़ता भी थी
थोड़ी बहुत वफ़ा में इधर भी कमी रही
बादल ग़मों के कब से बरस कर चले गए
आँखों में इस सबब से अभी तक नमी रही
ऊपर से ज़ख़्म-ए-हिज्र को तो हम ने भर दिया
अंदर से कैफ़ियत तो मगर मातमी रही
यारान-ए-रफ़्ता यूँ भी बहुत तेज़-गाम थे
और हम चले तो पाँव की गर्दिश थमी रही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi
our suggestion based on Qamar Siddiqi
As you were reading Jazbaat Shayari Shayari