kya ranj ki yusuf ka khareedaar nahin hai | क्या रंज कि यूसुफ़ का ख़रीदार नहीं है

  - Qamar Siddiqi

kya ranj ki yusuf ka khareedaar nahin hai
ye shehar koi misr ka bazaar nahin hai

kyun meri giriftaari pe hangaama hai har soo
vo kaun hai jo tera girftaar nahin hai

kis kis pe inaayat na hui teri nazar ki
bas ek meri samt guhar-baar nahin hai

kyun jurat-e-izhaar pe hairaan ho meri
abroo hain tumhaare koi talwaar nahin hai

saaya hai mere sar pe qamar dhoop shajar ka
baitha hoon jahaan saaya-e-deewar nahin hai

क्या रंज कि यूसुफ़ का ख़रीदार नहीं है
ये शहर कोई मिस्र का बाज़ार नहीं है

क्यूँ मेरी गिरफ़्तारी पे हंगामा है हर सू
वो कौन है जो तेरा गिरफ़्तार नहीं है

किस किस पे इनायत न हुई तेरी नज़र की
बस एक मिरी सम्त गुहर-बार नहीं है

क्यूँ जुरअत-ए-इज़हार पे हैरान हो मेरी
अबरू हैं तुम्हारे कोई तलवार नहीं है

साया है मिरे सर पे 'क़मर' धूप शजर का
बैठा हूँ जहाँ साया-ए-दीवार नहीं है

  - Qamar Siddiqi

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari