misaal-e-khwaab hamesha kisi safar mein rahe | मिसाल-ए-ख़्वाब हमेशा किसी सफ़र में रहे

  - Qamar Siddiqi

misaal-e-khwaab hamesha kisi safar mein rahe
ham apni neend mein bhi us ki raahguzaar mein rahe

kisi ki yaad ke baadal barsne waale the
bahut kharab tha mausam so aaj ghar mein rahe

tamaam umr usi jism se shikaayat thi
tamaam umr usi jism ke khandar mein rahe

mata-e-dard ko aakhir kahaan kahaan rakhte
so mere ganj-e-giraan-maaya-e-hunar mein rahe

ye zindagi hai qamar ya ki junglon ka safar
har ek lamha yahan raah-e-pur-khatra mein rahe

मिसाल-ए-ख़्वाब हमेशा किसी सफ़र में रहे
हम अपनी नींद में भी उस की रहगुज़र में रहे

किसी की याद के बादल बरसने वाले थे
बहुत ख़राब था मौसम सो आज घर में रहे

तमाम उम्र उसी जिस्म से शिकायत थी
तमाम उम्र उसी जिस्म के खंडर में रहे

मता-ए-दर्द को आख़िर कहाँ कहाँ रखते
सो मेरे गंज-ए-गिराँ-माया-ए-हुनर में रहे

ये ज़िंदगी है 'क़मर' या कि जंगलों का सफ़र
हर एक लम्हा यहाँ राह-ए-पुर-ख़तर में रहे

  - Qamar Siddiqi

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari