khwaab nahin hai sannaata hai lekin hai ta'beer bahut | ख़्वाब नहीं है सन्नाटा है लेकिन है ता'बीर बहुत

  - Qamar Siddiqi

khwaab nahin hai sannaata hai lekin hai ta'beer bahut
sacchi baatein kam kam hain aur jhooth ki hai tashheer bahut

kya kya chehre hain aankhon mein shaklein kya kya zehan mein hain
yaadein goya album hain aur album mein tasveer bahut

qissa hai bas do-pal ka ye milne aur bichhadne ka
karne waale ishq ki yun to karte hain tafseer bahut

ham to sahab-e-ahle-e-junoon hain duniya khel-tamasha hai
ahl-e-khirad ki khaatir hogi duniya ki zanjeer bahut

saari shaklein dhundli dhundli mubham sa hai manzar bhi
khwaab ki kacchi buniyaadon par karne hai ta'aamir bahut

qissa ye mahdood na tha kuchh honton ki khaamoshi tak
kehne ko to kahti thi un aankhon ki tahreer bahut

ख़्वाब नहीं है सन्नाटा है लेकिन है ता'बीर बहुत
सच्ची बातें कम कम हैं और झूट की है तश्हीर बहुत

क्या क्या चेहरे हैं आँखों में शक्लें क्या क्या ज़ेहन में हैं
यादें गोया एल्बम हैं और एल्बम में तस्वीर बहुत

क़िस्सा है बस दो-पल का ये मिलने और बिछड़ने का
करने वाले इश्क़ की यूँ तो करते हैं तफ़्सीर बहुत

हम तो साहब-ए-अहल-ए-जुनूँ हैं दुनिया खेल-तमाशा है
अहल-ए-ख़िरद की ख़ातिर होगी दुनिया की ज़ंजीर बहुत

सारी शक्लें धुँदली धुँदली मुबहम सा है मंज़र भी
ख़्वाब की कच्ची बुनियादों पर करनी है ता'मीर बहुत

क़िस्सा ये महदूद न था कुछ होंटों की ख़ामोशी तक
कहने को तो कहती थी उन आँखों की तहरीर बहुत

  - Qamar Siddiqi

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari