pesh-e-manzar mein hai kuchh aur kuchh pas-e-manzar mein hai
kuchh haqeeqat kuchh fasana raam aur babar mein hai
gham ke maaro mukhtasar hai arsa-e-teera-shabi
aur is ke ba'ad sab kuchh panja-e-daavar mein hai
khwaab saare ho gaye hain neend se ab maavra
pesh kar ghaafil amal koi agar daftar mein hai
haal maazi aur mustaqbil sabhi to us ke hain
hasti apni us ki khaatir siga-e-masdar mein hai
qaatila khanjar tira us aab se mahroom hai
ik chamak bijli si jo bismil ke ab tevar mein hai
chaar-soo ik huu ka aalam har taraf sannaata hai
ab qamar bhi yun hi sa be-kaar baitha ghar mein hai
पेश-ए-मंज़र में है कुछ और कुछ पस-ए-मंज़र में है
कुछ हक़ीक़त कुछ फ़साना राम और बाबर में है
ग़म के मारो मुख़्तसर है अर्सा-ए-तीरा-शबी
और इस के बा'द सब कुछ पंजा-ए-दावर में है
ख़्वाब सारे हो गए हैं नींद से अब मावरा
पेश कर ग़ाफ़िल अमल कोई अगर दफ़्तर में है
हाल माज़ी और मुस्तक़बिल सभी तो उस के हैं
हस्ती अपनी उस की ख़ातिर सीग़ा-ए-मसदर में है
क़ातिला ख़ंजर तिरा उस आब से महरूम है
इक चमक बिजली सी जो बिस्मिल के अब तेवर में है
चार-सू इक हू का आलम हर तरफ़ सन्नाटा है
अब 'क़मर' भी यूँ ही सा बे-कार बैठा घर में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi
our suggestion based on Qamar Siddiqi
As you were reading Chaand Shayari Shayari