hain ab to heele-bahaane ke qeel-o-qaal ke din
bhula ke rakh diye tu ne meri majaal ke din
ki dukh ne koocha-e-shab paar kar liya shaayad
tuloo hone lage is liye malaal ke din
har ek lafz pashemaan pas-e-ghubaar-e-sukoot
jawaab ki vo hon raatein ki phir sawaal ke din
charaagh-e-saut-o-sada aaj kuchh munavvar hai
visaal-e-shab ke qareen hain mere ghazaal ke din
ye intizaar ki ghadiyan ye shab ka sannaata
us ek shab mein bhare hain hazaar saal ke din
हैं अब तो हीले-बहाने के क़ील-ओ-क़ाल के दिन
भुला के रख दिए तू ने मिरी मजाल के दिन
कि दुख ने कूचा-ए-शब पार कर लिया शायद
तुलूअ' होने लगे इस लिए मलाल के दिन
हर एक लफ़्ज़ पशेमाँ पस-ए-ग़ुबार-ए-सुकूत
जवाब की वो हों रातें कि फिर सवाल के दिन
चराग़-ए-सौत-ओ-सदा आज कुछ मुनव्वर है
विसाल-ए-शब के क़रीं हैं मिरे ग़ज़ाल के दिन
ये इंतिज़ार की घड़ियाँ ये शब का सन्नाटा
उस एक शब में भरे हैं हज़ार साल के दिन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi
our suggestion based on Qamar Siddiqi
As you were reading Udas Shayari Shayari