phir wahi khaana-e-barbaad hamaare liye hai | फिर वही ख़ाना-ए-बर्बाद हमारे लिए है

  - Qamar Siddiqi

phir wahi khaana-e-barbaad hamaare liye hai
shehar-e-gharnaata-o-baghdad hamaare liye hai

jhelnaa hai hamein phir karb faraamoshi ka
phir wahi silsila-e-yaad hamaare liye hai

neend ke shahr-e-tilismaat mubarak hon tumhein
jaagte rahne ki uftaad hamaare liye hai

gham hain aashob-e-khudi mein hamein warna ik shehar
khun se tar shor se aabaad hamaare liye hai

dhoondiye aks-e-'qamar raat ke aaine mein
aaj ki shab yahi irshaad hamaare liye hai

फिर वही ख़ाना-ए-बर्बाद हमारे लिए है
शहर-ए-ग़रनाता-ओ-बग़दाद हमारे लिए है

झेलना है हमें फिर कर्ब फ़रामोशी का
फिर वही सिलसिला-ए-याद हमारे लिए है

नींद के शहर-ए-तिलिस्मात मुबारक हों तुम्हें
जागते रहने की उफ़्ताद हमारे लिए है

ग़म हैं आशोब-ए-ख़ुदी में हमें वर्ना इक शहर
ख़ूँ से तर शोर से आबाद हमारे लिए है

ढूँडिए अक्स-ए-'क़मर' रात के आईने में
आज की शब यही इरशाद हमारे लिए है

  - Qamar Siddiqi

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari