kahaan talash karein naqsh-e-aashiyana koi | कहाँ तलाश करें नक़्श-ए-आशियाना कोई

  - Qamar Siddiqi

kahaan talash karein naqsh-e-aashiyana koi
ye shehar jaise bada sa hai qaid-khaana koi

so apni hijrat-e-paiham ka bas javaaz hai ye
parinde dhoondte rahte hain aab-o-daana koi

maal-e-ishq pata hai use magar phir bhi
talash leta hai har baar dil bahaana koi

ajab tilism hai jo waqt kho gaya hai kahi
hua hai laad ke din raat ko ravana koi

khile hain phool saba chaar soo hai mahki hui
chaman se guzra tha kya husn-e-kaafiraana koi

kabhi to hazrat-e-naaseh bhi dil kushaad karein
kabhi to mashwara den ham ko mukhlisaana koi

ajeeb log hain neenden ajeeb hain in ki
jaga saka na qamar in ko taaziyaana koi

कहाँ तलाश करें नक़्श-ए-आशियाना कोई
ये शहर जैसे बड़ा सा है क़ैद-ख़ाना कोई

सो अपनी हिजरत-ए-पैहम का बस जवाज़ है ये
परिंदे ढूँडते रहते हैं आब-ओ-दाना कोई

मआल-ए-इश्क़ पता है उसे मगर फिर भी
तलाश लेता है हर बार दिल बहाना कोई

अजब तिलिस्म है जो वक़्त खो गया है कहीं
हुआ है लाद के दिन रात को रवाना कोई

खिले हैं फूल सबा चार सू है महकी हुई
चमन से गुज़रा था क्या हुस्न-ए-काफ़िराना कोई

कभी तो हज़रत-ए-नासेह भी दिल कुशाद करें
कभी तो मशवरा दें हम को मुख़्लिसाना कोई

अजीब लोग हैं नींदें अजीब हैं इन की
जगा सका न 'क़मर' इन को ताज़ियाना कोई

  - Qamar Siddiqi

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari