vo baat baat pe kehta hai bewafa mujh ko
sikha diya unhin baaton ne bolna mujh ko
main apni zaat mein gum ho gaya tha sab se door
tiri nazar se mila hai mera pata mujh ko
haqeeqaton se nazar kab talak churaunga
ki baar baar dikhaati hain aaina mujh ko
vo chahta tha ki main us ki ik jhalak dekhoon
main sochta tha kahi se vo de sada mujh ko
bhulaaye baitha tha jis ko main ek muddat se
na jaane kaise vo phir yaad aa gaya mujh ko
mere khilaaf qamar jaane kis ki saazish hai
banaya jaata hai har roz mas'ala mujh ko
वो बात बात पे कहता है बेवफ़ा मुझ को
सिखा दिया उन्हीं बातों ने बोलना मुझ को
मैं अपनी ज़ात में गुम हो गया था सब से दूर
तिरी नज़र से मिला है मिरा पता मुझ को
हक़ीक़तों से नज़र कब तलक चुराउँगा
कि बार बार दिखाती हैं आइना मुझ को
वो चाहता था कि मैं उस की इक झलक देखूँ
मैं सोचता था कहीं से वो दे सदा मुझ को
भुलाए बैठा था जिस को मैं एक मुद्दत से
न जाने कैसे वो फिर याद आ गया मुझ को
मिरे ख़िलाफ़ 'क़मर' जाने किस की साज़िश है
बनाया जाता है हर रोज़ मसअला मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi
our suggestion based on Qamar Siddiqi
As you were reading Breakup Shayari Shayari