vo ik vujood zameen par bhi aasmaan ki tarah
mere hudoos se baahar hai la-makaan ki tarah
vo ik khayal koi bahr-e-be-karan jaise
meri nazar kisi bosida baadbaan ki tarah
azal se sar pe khadi dopahar ka manzar hai
so ab ye dhoop bhi lagti hai saaebaan ki tarah
main harf harf use hi sametna chaahoon
magar vo phailta jaata hai dastaan ki tarah
mere badan mein koi shay yugon yugon se qamar
bikhar rahi hai kisi reg-e-raayegaan ki tarah
वो इक वजूद ज़मीं पर भी आसमाँ की तरह
मिरे हुदूद से बाहर है ला-मकाँ की तरह
वो इक ख़याल कोई बहर-ए-बे-कराँ जैसे
मिरी नज़र किसी बोसीदा बादबाँ की तरह
अज़ल से सर पे खड़ी दोपहर का मंज़र है
सो अब ये धूप भी लगती है साएबाँ की तरह
मैं हर्फ़ हर्फ़ उसे ही समेटना चाहूँ
मगर वो फैलता जाता है दास्ताँ की तरह
मिरे बदन में कोई शय युगों युगों से 'क़मर'
बिखर रही है किसी रेग-ए-राएगाँ की तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi
our suggestion based on Qamar Siddiqi
As you were reading Azal Shayari Shayari