jitna tha jeena jee liye mar jaana chahiye | जितना था जीना जी लिए मर जाना चाहिए

  - Qamar Siddiqi

jitna tha jeena jee liye mar jaana chahiye
had ho gai to had se guzar jaana chahiye

thehre hue hain kab se ye mehmaan ki tarah
aankhon se aansuon ko bikhar jaana chahiye

ye kya ki roz qisse mein tum sher hi bano
yaaro kabhi khabaar to dar jaana chahiye

us ki gali mein jour-o-jafa aam hai bahut
us ki gali mein yaar magar jaana chahiye

ab ke to ma'arka hai bahut sakht zeest ka
ab ke to ma'arke mein ye sar jaana chahiye

chal to rahe hain log yahan qafile ke saath
lekin pata nahin hai kidhar jaana chahiye

yun to mushaayaron se ye jee bhar gaya magar
kehna ubaid ka hai qamar jaana chahiye

जितना था जीना जी लिए मर जाना चाहिए
हद हो गई तो हद से गुज़र जाना चाहिए

ठहरे हुए हैं कब से ये मेहमान की तरह
आँखों से आँसुओं को बिखर जाना चाहिए

ये क्या कि रोज़ क़िस्से में तुम शेर ही बनो
यारो कभी कभार तो डर जाना चाहिए

उस की गली में जौर-ओ-जफ़ा आम है बहुत
उस की गली में यार मगर जाना चाहिए

अब के तो मा'रका है बहुत सख़्त ज़ीस्त का
अब के तो मा'रके में ये सर जाना चाहिए

चल तो रहे हैं लोग यहाँ क़ाफ़िले के साथ
लेकिन पता नहीं है किधर जाना चाहिए

यूँ तो मुशायरों से ये जी भर गया मगर
कहना 'उबैद' का है 'क़मर' जाना चाहिए

  - Qamar Siddiqi

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari