hamaari neend koi so gaya hai kya | हमारी नींद कोई सो गया है क्या

  - Qamar Siddiqi

hamaari neend koi so gaya hai kya
jo tha khwaabon ka zewar kho gaya hai kya

sabhi chehron pe hai kyun bad-havaasi ab
sabhi ka jaise yaa kuchh kho gaya hai kya

koi fariyaad ab sunta nahin vo bhi
kahi par chief justice ho gaya hai kya

ye kyun taalaab dariya aur samundar hain
yahan par koi aa kar ro gaya hai kya

qamar ka aaine mein sirf chehra hai
saraapa bheed mein ab kho gaya hai kya

yun hi shaadaab chehra ho nahin saka
chhalk kar ashk chehra dho gaya hai kya

uge hain chaar-soo nafrat ke paude kyun
dilon mein zahr koi bo gaya hai kya

हमारी नींद कोई सो गया है क्या
जो था ख़्वाबों का ज़ेवर खो गया है क्या

सभी चेहरों पे है क्यों बद-हवासी अब
सभी का जैसे याँ कुछ खो गया है क्या

कोई फ़रियाद अब सुनता नहीं वो भी
कहीं पर चीफ़ जस्टिस हो गया है क्या

ये क्यों तालाब दरिया और समुंदर हैं
यहाँ पर कोई आ कर रो गया है क्या

'क़मर' का आइने में सिर्फ़ चेहरा है
सरापा भीड़ में अब खो गया है क्या

यूँ ही शादाब चेहरा हो नहीं सकता
छलक कर अश्क चेहरा धो गया है क्या

उगे हैं चार-सू नफ़रत के पौदे क्यों
दिलों में ज़ह्र कोई बो गया है क्या

  - Qamar Siddiqi

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari