ye martaba koshish se mayassar nahin hota
har faateh-e-ayyaam sikandar nahin hota
har roz nayi jang hai har roz nayi jehad
kab apne muqaabil koi lashkar nahin hota
be-soche hue kaam to ho jaate hain saare
jo sochte hain ham wahi akshar nahin hota
har pal wahi vehshat hai wahi raqs-e-sitam-naak
kis lamha yahan fitna-e-mahshar nahin hota
aa lete hain jazbaat ko chupke se kisi pal
un haadson ka waqt mukarrar nahin hota
aawaara hain is aankh se us aankh talak khwaab
jaise ki musaafir ka koi ghar nahin hota
ये मर्तबा कोशिश से मयस्सर नहीं होता
हर फ़ातेह-ए-अय्याम सिकंदर नहीं होता
हर रोज़ नई जंग है हर रोज़ नई जेहद
कब अपने मुक़ाबिल कोई लश्कर नहीं होता
बे-सोचे हुए काम तो हो जाते हैं सारे
जो सोचते हैं हम वही अक्सर नहीं होता
हर पल वही वहशत है वही रक़्स-ए-सितम-नाक
किस लम्हा यहाँ फ़ित्ना-ए-महशर नहीं होता
आ लेते हैं जज़्बात को चुपके से किसी पल
उन हादसों का वक़्त मुक़र्रर नहीं होता
आवारा हैं इस आँख से उस आँख तलक ख़्वाब
जैसे कि मुसाफ़िर का कोई घर नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi
our suggestion based on Qamar Siddiqi
As you were reading War Shayari Shayari