jazba-e-sard sitamgar nahin achha lagta | जज़्बा-ए-सर्द सितमगर नहीं अच्छा लगता

  - Qamar Siddiqi

jazba-e-sard sitamgar nahin achha lagta
tere chehre pe december nahin achha lagta

aaina dekh to len dekh ke haasil kya hai
ab yahan apna hi paikar nahin achha lagta

ghaliban aap ne sach bola hai so bhukto ab
haakim-e-waqt ka tevar nahin achha lagta

ik wahi shakhs lage jaan se pyaara ham ko
aur kabhi vo bhi saraasar nahin achha lagta

bheed hai shor hai aur daaimi uktaahat hai
shehar ka bas yahi manzar nahin achha lagta

khair ye milna bichadna to laga rehta hai
haan magar yaadon ka daftar nahin achha lagta

जज़्बा-ए-सर्द सितमगर नहीं अच्छा लगता
तेरे चेहरे पे दिसम्बर नहीं अच्छा लगता

आइना देख तो लें देख के हासिल क्या है
अब यहाँ अपना ही पैकर नहीं अच्छा लगता

ग़ालिबन आप ने सच बोला है सो भुक्तो अब
हाकिम-ए-वक़्त का तेवर नहीं अच्छा लगता

इक वही शख़्स लगे जान से प्यारा हम को
और कभी वो भी सरासर नहीं अच्छा लगता

भीड़ है शोर है और दाइमी उकताहट है
शहर का बस यही मंज़र नहीं अच्छा लगता

ख़ैर ये मिलना बिछड़ना तो लगा रहता है
हाँ मगर यादों का दफ़्तर नहीं अच्छा लगता

  - Qamar Siddiqi

Tevar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Tevar Shayari Shayari