gosha-e-dil mein tera dard chhupaaya main ne | गोशा-ए-दिल में तेरा दर्द छुपाया मैं ने

  - Raabia Sultana Nashad

gosha-e-dil mein tera dard chhupaaya main ne
chashm-e-tar ko bhi na ye raaz bataaya main ne
kaun vo shab hai jo be-ashk bahaaye guzri
kaun vo gham hai jo dil par na uthaya main ne
ki zamaane se kabhi koi shikaayat na gila
apne rishte hue zakhamon ko chhupaaya main ne
ab to dam zabt ki shiddat se ghatta jaata hai
is qadar dard ko seene mein dabaya main ne
haif bar haal dil-e-zaar ki aaina hua
laakh parde mein har ik raaz chhupaaya main ne
zindagi guzri hai be-kaif si yaarab phir bhi
garche hans hans ke har ik gham ko mitaaya main ne
kis ne ye kashmakash-e-shaam-e-alam dekhi hai
jab koi dard utha dil mein dabaya main ne
kab tak is taur se naashaad guzaaroon'gi hayaat
jab khushi koi mili ashk bahaaya mein ne

गोशा-ए-दिल में तेरा दर्द छुपाया मैं ने
चश्म-ए-तर को भी न ये राज़ बताया मैं ने
कौन वो शब है जो बे-अश्क बहाए गुज़री
कौन वो ग़म है जो दिल पर न उठाया मैं ने
की ज़माने से कभी कोई शिकायत न गिला
अपने रिसते हुए ज़ख़्मों को छुपाया मैं ने
अब तो दम ज़ब्त की शिद्दत से घटा जाता है
इस क़दर दर्द को सीने में दबाया मैं ने
हैफ़ बर हाल दिल-ए-ज़ार कि आईना हुआ
लाख पर्दे में हर इक राज़ छुपाया मैं ने
ज़िंदगी गुज़री है बे-कैफ़ सी यारब फिर भी
गरचे हँस हँस के हर इक ग़म को मिटाया मैं ने
किस ने ये कश्मकश-ए-शाम-ए-अलम देखी है
जब कोई दर्द उठा दिल में दबाया मैं ने
कब तक इस तौर से 'नाशाद' गुज़ारूँगी हयात
जब ख़ुशी कोई मिली अश्क बहाया में ने

  - Raabia Sultana Nashad

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Raabia Sultana Nashad

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari