ham ne khud apni rahnumaai ki
aur shohrat hui khudaai ki
main ne duniya se mujh se duniya ne
saikron baar bewafaai ki
khule rahte hain saare darwaaze
koi soorat nahin rihaai ki
toot kar ham mile hain pehli baar
ye shurua'at hai judaai ki
soye rahte hain odh kar khud ko
ab zaroorat nahin razaai ki
manzilen choomti hain mere qadam
daad deeje shikasta-paai ki
zindagi jaise-taise kaatni hai
kya bhalaai ki kya buraai ki
ishq ke kaarobaar mein ham ne
jaan de kar badi kamaai ki
ab kisi ki zabaan nahin khulti
rasm jaari hai munh-bharaai ki
हम ने ख़ुद अपनी रहनुमाई की
और शोहरत हुई ख़ुदाई की
मैं ने दुनिया से मुझ से दुनिया ने
सैकड़ों बार बेवफ़ाई की
खुले रहते हैं सारे दरवाज़े
कोई सूरत नहीं रिहाई की
टूट कर हम मिले हैं पहली बार
ये शुरूआ'त है जुदाई की
सोए रहते हैं ओढ़ कर ख़ुद को
अब ज़रूरत नहीं रज़ाई की
मंज़िलें चूमती हैं मेरे क़दम
दाद दीजे शिकस्ता-पाई की
ज़िंदगी जैसे-तैसे काटनी है
क्या भलाई की क्या बुराई की
इश्क़ के कारोबार में हम ने
जान दे कर बड़ी कमाई की
अब किसी की ज़बाँ नहीं खुलती
रस्म जारी है मुँह-भराई की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Valentine Shayari Shayari