sabab vo pooch rahe hain udaas hone ka | सबब वो पूछ रहे हैं उदास होने का - Rahat Indori

sabab vo pooch rahe hain udaas hone ka
mera mizaaj nahin be-libaas hone ka

naya bahaana hai har pal udaas hone ka
ye faaeda hai tire ghar ke paas hone ka

mehkati raat ke lamho nazar rakho mujh par
bahaana dhundh raha hoon udaas hone ka

main tere paas bata kis garz se aaya hoon
suboot de mujhe chehra-shanaas hone ka

meri ghazal se bana zehan mein koi tasveer
sabab na pooch mere devdaas hone ka

kahaan ho aao meri bhooli-bisri yaado aao
khush-aamdeed hai mausam udaas hone ka

kai dinon se tabi'at meri udaas na thi
yahi javaaz bahut hai udaas hone ka

main ahmiyat bhi samajhta hoon qahqahon ki magar
maza kuch apna alag hai udaas hone ka

mere labon se tabassum mazaak karne laga
main likh raha tha qaseeda udaas hone ka

pata nahin ye parinde kahaan se aa pahunchen
abhi zamaana kahaan tha udaas hone ka

main kah raha hoon ki ai dil idhar-udhar na bhatk
guzar na jaaye zamaana udaas hone ka

सबब वो पूछ रहे हैं उदास होने का
मिरा मिज़ाज नहीं बे-लिबास होने का

नया बहाना है हर पल उदास होने का
ये फ़ाएदा है तिरे घर के पास होने का

महकती रात के लम्हो नज़र रखो मुझ पर
बहाना ढूँड रहा हूँ उदास होने का

मैं तेरे पास बता किस ग़रज़ से आया हूँ
सुबूत दे मुझे चेहरा-शनास होने का

मिरी ग़ज़ल से बना ज़ेहन में कोई तस्वीर
सबब न पूछ मिरे देवदास होने का

कहाँ हो आओ मिरी भूली-बिसरी यादो आओ
ख़ुश-आमदीद है मौसम उदास होने का

कई दिनों से तबीअ'त मिरी उदास न थी
यही जवाज़ बहुत है उदास होने का

मैं अहमियत भी समझता हूँ क़हक़हों की मगर
मज़ा कुछ अपना अलग है उदास होने का

मिरे लबों से तबस्सुम मज़ाक़ करने लगा
मैं लिख रहा था क़सीदा उदास होने का

पता नहीं ये परिंदे कहाँ से आ पहुँचे
अभी ज़माना कहाँ था उदास होने का

मैं कह रहा हूँ कि ऐ दिल इधर-उधर न भटक
गुज़र न जाए ज़माना उदास होने का

- Rahat Indori
4 Likes

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahat Indori

As you were reading Shayari by Rahat Indori

Similar Writers

our suggestion based on Rahat Indori

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari