main khaak hoon so yahi tajurba raha hai mujhe
vo shakl-e-nau ke liye raundta raha hai mujhe
use jo chahiye main hoon usi ke jaisa koi
vo mere jaise ki zid mein ganwa raha hai mujhe
main vo hi khwaab-e-seher jo fuzool tha din-bhar
taveel shab main magar dekha ja raha hai mujhe
idhar ye farda khafa hai mere taghaaful se
udhar khuloos se maazi bula raha hai mujhe
yahi nahin ki main na-mutmain hoon duniya se
mera vujood bhi ik mas'ala raha hai mujhe
मैं ख़ाक हूँ सो यही तजरबा रहा है मुझे
वो शक्ल-ए-नौ के लिए रौंदता रहा है मुझे
उसे जो चाहिए मैं हूँ उसी के जैसा कोई
वो मेरे जैसे की ज़िद में गँवा रहा है मुझे
मैं वो ही ख़्वाब-ए-सहर जो फ़ुज़ूल था दिन-भर
तवील शब मैं मगर देखा जा रहा है मुझे
इधर ये फ़र्दा ख़फ़ा है मिरे तग़ाफ़ुल से
उधर ख़ुलूस से माज़ी बुला रहा है मुझे
यही नहीं कि मैं ना-मुतमइन हूँ दुनिया से
मिरा वजूद भी इक मसअला रहा है मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahul Jha
our suggestion based on Rahul Jha
As you were reading Gussa Shayari Shayari