saath ulfat ke mile thodi si ruswaai bhi
vasl ke baad mujhe chahiye tanhaai bhi
tang ho mere junoon se kahi chhup baithi thi aql
aur use dhoondne mein kho gai danaai bhi
umr jab roothi to apna diya sab kuchh le chali
zor bhi zabt bhi raftaar bhi ra'naai bhi
main ne chaaha tha ki bilkul hi akela ho jaaun
so gaya gham gai ishrat gai tanhaai bhi
साथ उल्फ़त के मिले थोड़ी सी रुस्वाई भी
वस्ल के बाद मुझे चाहिए तन्हाई भी
तंग हो मेरे जुनूँ से कहीं छुप बैठी थी अक़्ल
और उसे ढूँढने में खो गई दानाई भी
उम्र जब रूठी तो अपना दिया सब कुछ ले चली
ज़ोर भी ज़ब्त भी रफ़्तार भी रा'नाई भी
मैं ने चाहा था कि बिल्कुल ही अकेला हो जाऊँ
सो गया ग़म गई इशरत गई तन्हाई भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahul Jha
our suggestion based on Rahul Jha
As you were reading Mulaqat Shayari Shayari