vasl ki rut ho ki furqat ki fazaa mujh se hai | वस्ल की रुत हो कि फ़ुर्क़त की फ़ज़ा मुझ से है - Rahul Jha

vasl ki rut ho ki furqat ki fazaa mujh se hai
ishq ki raah mein sab achha bura mujh se hai

ye haqeeqat hai ki tujh se hai mera hona magar
bandagi meri hai so tu bhi khuda mujh se hai

tu to bas chhod gaya tha mere seene mein ise
teri furqat ka magar zakham haraa mujh se hai

mere hi hone se taari hai deewano pe junoon
tere nazdeek bhi ye raqs-e-hawa mujh se hai

warna ek tajraba-e-deed hi kaafi hota
meri hi aankh magar khaufzada mujh se hai

main ne baksha hai tujhe ye gul-e-taaza ka shabaab
ye nayi khushbuen ye rang naya mujh se hai

mujh se haasil tha tere jism ke dhaage ko kapaas
kis tarah sochta hai tu ki juda mujh se hai

वस्ल की रुत हो कि फ़ुर्क़त की फ़ज़ा मुझ से है
इश्क़ की राह में सब अच्छा बुरा मुझ से है

ये हक़ीक़त है कि तुझ से है मिरा होना मगर
बंदगी मेरी है सो तू भी ख़ुदा मुझ से है

तू तो बस छोड़ गया था मेरे सीने में इसे
तेरी फ़ुर्क़त का मगर ज़ख़्म हरा मुझ से है

मेरे ही होने से तारी है दिवानों पे जुनूँ
तेरे नज़दीक भी ये रक़्स-ए-हवा मुझ से है

वर्ना एक तजरबा-ए-दीद ही काफ़ी होता
मेरी ही आँख मगर खौफ़ज़दा मुझ से है

मैं ने बख़्शा है तुझे ये गुल-ए-ताज़ा का शबाब
ये नई ख़ुशबुएँ ये रंग नया मुझ से है

मुझ से हासिल था तेरे जिस्म के धागे को कपास
किस तरह सोचता है तू कि जुदा मुझ से है

- Rahul Jha
0 Likes

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahul Jha

As you were reading Shayari by Rahul Jha

Similar Writers

our suggestion based on Rahul Jha

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari