ud rahe hain sab parinde ghar sajaane ke liye
ham ne bhi to jaane se pehle kai vaade liye
aakhirat main kaun se mukhde pe karta etbaar
vo jab aaya bhi to aaya chahre par chahre liye
tum muhabbat se nawaazo nafraton ko bhi kabhi
kijie saaya kabhi sukhe darkhto ke liye
mere darwaaze pe dastak hogi teri ek din
khwaab thehre hain in aankhon mein kai lamhe liye
main jahaan se laut aaya tha safar mein haarkar
bas khadi thi zindagi us mod par mere liye
ek ghar sookha pada tha muddaton se shehar mein
door se aayi hai baarish phir se nazraane liye
ik kinaara khaamoshi se dekhta hai jab mujhe
tab machalta hai samandar paani mein lahre liye
koi sunta hi nahin hai khaamoshi ki jab sada
raaj kyun sab dar-b-dar firte hain aawaze liye
उड़ रहे हैं सब परिंदे घर सजाने के लिए
हम ने भी तो जाने से पहले कई वादे लिए
आख़िरस मैं कौन से मुखड़े पे करता एतबार
वो जब आया भी तो आया चहरे पर चहरे लिए
तुम मुहब्बत से नवाज़ो नफरतों को भी कभी
कीजिए साया कभी सूखे दरख़्तो के लिए
मेरे दरवाज़े पे दस्तक होगी तेरी एक दिन
ख़्वाब ठहरें हैं इन आँखों में कई लम्हे लिए
मैं जहाँ से लौट आया था सफ़र में हारकर
बस ख़डी थी ज़िंदगी उस मोड़ पर मेरे लिए
एक घर सूखा पड़ा था मुद्दतों से शहर में
दूर से आई है बारिश फिर से नज़राने लिए
इक किनारा ख़ामुशी से देखता है जब मुझे
तब मचलता है समंदर पानी में लहरे लिए
कोई सुनता ही नहीं है ख़ामुशी की जब सदा
'राज' क्यों सब दर-ब-दर फिरते हैं आवाज़े लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raj Tiwari
our suggestion based on Raj Tiwari
As you were reading Life Shayari Shayari