wahi toota hua darpan barabar yaad aata hai
udaasi aur aansoo ka swayamvar yaad aata hai
kabhi jab jagmagate deep ganga par tahalte hain
kisi sukumaar sapne ka muqaddar yaad aata hai
mahal se jab sawaalon ke sahi uttar nahin milte
mujhe woh gaanv ka bheega hua ghar yaad aata hai
sugandhit ye charan mera mahak se bhar gaya aangan
akela mein magar rootha mahaavar yaad aata hai
samandar ke kinaare chaandni mein baith jaata hoon
ubharte shor mein dooba hua swar yaad aata hai
jhuka jo devta ke dwaar par woh sheesh paawan hai
mujhe ghaayal magar woh anjhooka sar yaad aata hai
kabhi jab saaf niyat aadmi ki baat chalti hai
wahi tyaagi bada badnaam aksar yaad aata hai
वही टूटा हुआ दर्पण बराबर याद आता है
उदासी और आंसू का स्वयंवर याद आता है
कभी जब जगमगाते दीप गंगा पर टहलते हैं
किसी सुकुमार सपने का मुक़द्दर याद आता है
महल से जब सवालों के सही उत्तर नहीं मिलते
मुझे वह गांव का भीगा हुआ घर याद आता है
सुगंधित ये चरण, मेरा महक से भर गया आंगन
अकेले में मगर रूठा महावर याद आता है
समंदर के किनारे चांदनी में बैठ जाता हूं
उभरते शोर में डूबा हुआ स्वर याद आता है
झुका जो देवता के द्वार पर वह शीश पावन है
मुझे घायल मगर वह अनझुका सर याद आता है
कभी जब साफ़ नीयत आदमी की बात चलती है
वही 'त्यागी' बड़ा बदनाम अकसर याद आता है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ramawtar Tyagi
As you were reading Mayoosi Shayari Shayari