baithe hain chain se kahi jaana to hai nahin | बैठे हैं चैन से कहीं जाना तो है नहीं

  - Rehman Faris

baithe hain chain se kahi jaana to hai nahin
ham be-gharon ka koi thikaana to hai nahin

tum bhi ho beete waqt ke maanind hoo-b-hoo
tum ne bhi yaad aana hai aana to hai nahin

ahad-e-wafaa se kis liye khaif ho meri jaan
kar lo ki tum ne ahad nibhaana to hai nahin

vo jo hamein aziz hai kaisa hai kaun hai
kyun poochte ho ham ne bataana to hai nahin

duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal
ham ne tire fareb mein aana to hai nahin

vo ishq to karega magar dekh bhaal ke
faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

बैठे हैं चैन से कहीं जाना तो है नहीं
हम बे-घरों का कोई ठिकाना तो है नहीं

तुम भी हो बीते वक़्त के मानिंद हू-ब-हू
तुम ने भी याद आना है आना तो है नहीं

अहद-ए-वफ़ा से किस लिए ख़ाइफ़ हो मेरी जान
कर लो कि तुम ने अहद निभाना तो है नहीं

वो जो हमें अज़ीज़ है कैसा है कौन है
क्यूँ पूछते हो हम ने बताना तो है नहीं

दुनिया हम अहल-ए-इश्क़ पे क्यूँ फेंकती है जाल
हम ने तिरे फ़रेब में आना तो है नहीं

वो इश्क़ तो करेगा मगर देख भाल के
'फ़ारिस' वो तेरे जैसा दिवाना तो है नहीं

  - Rehman Faris

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rehman Faris

As you were reading Shayari by Rehman Faris

Similar Writers

our suggestion based on Rehman Faris

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari