kuchh kaam dhaam hai hi nahin aur kya karein
din raat subho-shaam chalo mashwara karein
sab log kah rahe hain hamein ishq ho gaya
to kyun na chat pe raat mein taare gina karein
saari sift tamaam mohabbat usi ki hai
har chhoti chhoti baat ka ab kya gila karein
ham ko baraabari na mili ishq mein kabhi
ye kya ki roz raat mein ham hi jaga karein
hai sach ki aasmaan se sab dekhta hai vo
achha karein bura karein kuchh bhi kiya karein
कुछ काम धाम है ही नहीं और क्या करें
दिन रात सुब्हो-शाम चलो मशवरा करें
सब लोग कह रहे हैं हमें इश्क़ हो गया
तो क्यूँ न छत पे रात में तारे गिना करें
सारी सिफ़त तमाम मोहब्बत उसी की है
हर छोटी छोटी बात का अब क्या गिला करें
हम को बराबरी न मिली इश्क़ में कभी
ये क्या कि रोज़ रात में हम ही जगा करें
है सच कि आसमान से सब देखता है वो
अच्छा करें बुरा करें कुछ भी किया करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saarthi Baidyanath
our suggestion based on Saarthi Baidyanath
As you were reading Neend Shayari Shayari