main akela hoon ghanera ban ke dekhoon
saath janmon ka main fera ban ke dekhoon
aa gaya tere liye teri gali mein
ai mohabbat aa ki tera ban ke dekhoon
bheenge baithe hain parinde baarishon mein
neer ho jaaun basera ban ke dekhoon
chandramaa jaisa ghatun aur ghatta jaaun
soory sa ubhroon savera ban ke dekhoon
khoobsurat yaad mere saamne hai
rang doon usko chitera ban ke dekhoon
मैं अकेला हूँ घनेरा बन के देखूं
सात जन्मों का मैं फेरा बन के देखूं
आ गया तेरे लिए तेरी गली में
ऐ मोहब्बत आ कि तेरा बन के देखूं
भींगे बैठे हैं परिंदे बारिशों में
नीड़ हो जाऊं बसेरा बन के देखूं
चन्द्रमा जैसा घटूं और घटता जाऊं
सूर्य सा उभरूँ सवेरा बन के देखूं
ख़ूबसूरत याद मेरे सामने है
रंग दूँ उसको चितेरा बन के देखूं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saarthi Baidyanath
our suggestion based on Saarthi Baidyanath
As you were reading Yaad Shayari Shayari