zindagi jhool rahi hai b-saleeb-e-dauraan | ज़िंदगी झूल रही है ब-सलीब-ए-दौराँ

  - Saba Naqvi

zindagi jhool rahi hai b-saleeb-e-dauraan
kyun na angusht-b-dandaan ho tabeeb-e-dauraan

jauhar-e-sabr ne dekha b-nigaah-e-tahseen
manzar-e-aam pe aaya jo ghareeb-e-dauraan

be-adab lagta hai duniya-e-adab ka maahol
sha'ir-e-asr se uljha hai adeeb-e-dauraan

chehra-e-waqt tiri parda-kushaai kar ke
ham ne har daur mein palta hai naseeb-e-dauraan

tarjumaan-e-gham-e-hasti hai saba jis ka dimaagh
chashm-e-beena mein vo sha'ir hai naqeeb-e-dauraan

ज़िंदगी झूल रही है ब-सलीब-ए-दौराँ
क्यों न अंगुश्त-ब-दंदाँ हो तबीब-ए-दौराँ

जौहर-ए-सब्र ने देखा ब-निगाह-ए-तहसीं
मंज़र-ए-आम पे आया जो ग़रीब-ए-दौराँ

बे-अदब लगता है दुनिया-ए-अदब का माहौल
शाइ'र-ए-अस्र से उलझा है अदीब-ए-दौराँ

चेहरा-ए-वक़्त तिरी पर्दा-कुशाई कर के
हम ने हर दौर में पल्टा है नसीब-ए-दौराँ

तर्जुमान-ए-ग़म-ए-हस्ती है 'सबा' जिस का दिमाग़
चश्म-ए-बीना में वो शाइ'र है नक़ीब-ए-दौराँ

  - Saba Naqvi

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saba Naqvi

As you were reading Shayari by Saba Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Saba Naqvi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari