haqeeqat ko chhupaana chahta hoon
main sach mein muskurana chahta hoon
sabhi ka dukh sunaai dega jismein
main aisi dhun banaana chahta hoon
udaasi se ye dil ukta chuka hai
main ab duniya se jaana chahta hoon
tumhein har baat kahkar jhooth apni
main saara sach bataana chahta hoon
mujhe tum aaj mar karke dikhaao
main tumko aazmaana chahta hoon
ghazal ke chaar misre bach gaye hain
main unko gungunaana chahta hoon
हक़ीक़त को छुपाना चाहता हूँ
मैं सच में मुस्कुराना चाहता हूँ
सभी का दुख सुनाई देगा जिसमें
मैं ऐसी धुन बनाना चाहता हूँ
उदासी से ये दिल उकता चुका है
मैं अब दुनिया से जाना चाहता हूँ
तुम्हें हर बात कहकर झूट अपनी
मैं सारा सच बताना चाहता हूँ
मुझे तुम आज मर करके दिखाओ
मैं तुमको आज़माना चाहता हूँ
ग़ज़ल के चार मिसरे बच गए हैं
मैं उनको गुनगुनाना चाहता हूँ
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading undefined Shayari