thaki aankhon ne samjho chain ka bistar nahin paaya | थकी आँखों ने समझो चैन का बिस्तर नहीं पाया

  - Sagar Sahab Badayuni

thaki aankhon ne samjho chain ka bistar nahin paaya
samajhta tha jise apna wahi aksar nahin paaya

main bhi do waqt kii roti kamaane ghar se nikla tha
kamaane shehar kya aaya kabhi phir ghar nahin paaya

jise dekho laga hai bas sunaane jhooth kii duniya
sukhun mein ek bhi shaair ko pesha-war nahin paaya

mere hi saamne shaadi ke phere le rahi thi vo
meri ghurbat mere haalaat main kuchh kar nahin paaya

hamein is baat ka bhi dukh nahin hain nafratein haasil
hamein gham hain muhabbat ka kabhi saagar nahin paaya

थकी आँखों ने समझो चैन का बिस्तर नहीं पाया
समझता था जिसे अपना वही अकसर नहीं पाया

मैं भी दो वक़्त की रोटी कमाने घर से निकला था
कमाने शहर क्या आया कभी फिर घर नहीं पाया

जिसे देखो लगा है बस सुनाने झूट की दुनिया
सुख़न में एक भी शाइर को पेशा-वर नहीं पाया

मिरे ही सामने शादी के फेरे ले रही थी वो
मिरी ग़ुरबत मिरे हालात मैं कुछ कर नहीं पाया

हमें इस बात का भी दुख नहीं हैं नफ़रतें हासिल
हमें ग़म हैं मुहब्बत का कभी सागर नहीं पाया

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari