main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
sar-e-aaina mera aks hai pas-e-aaina koi aur hai
main kisi ke dast-e-talab mein hoon to kisi ke harf-e-dua mein hoon
main naseeb hoon kisi aur ka mujhe maangata koi aur hai
ajab e'tibaar o be-e'tibaari ke darmiyaan hai zindagi
main qareeb hoon kisi aur ke mujhe jaanta koi aur hai
meri raushni tire khadd-o-khaal se mukhtalif to nahin magar
tu qareeb aa tujhe dekh luun tu wahi hai ya koi aur hai
tujhe dushmanon ki khabar na thi mujhe doston ka pata nahin
tiri dastaan koi aur thi mera waqia koi aur hai
wahi munsifon ki rivaayatein wahi faislon ki ibaaratien
mera jurm to koi aur tha p meri saza koi aur hai
kabhi laut aayein to poochna nahin dekhna unhen ghaur se
jinhen raaste mein khabar hui ki ye raasta koi aur hai
jo meri riyaazat-e-neem-shab ko saleem subh na mil saki
to phir is ke ma'ni to ye hue ki yahan khuda koi aur hai
मैं ख़याल हूँ किसी और का मुझे सोचता कोई और है
सर-ए-आईना मिरा अक्स है पस-ए-आईना कोई और है
मैं किसी के दस्त-ए-तलब में हूँ तो किसी के हर्फ़-ए-दुआ में हूँ
मैं नसीब हूँ किसी और का मुझे माँगता कोई और है
अजब ए'तिबार ओ बे-ए'तिबारी के दरमियान है ज़िंदगी
मैं क़रीब हूँ किसी और के मुझे जानता कोई और है
मिरी रौशनी तिरे ख़द्द-ओ-ख़ाल से मुख़्तलिफ़ तो नहीं मगर
तू क़रीब आ तुझे देख लूँ तू वही है या कोई और है
तुझे दुश्मनों की ख़बर न थी मुझे दोस्तों का पता नहीं
तिरी दास्ताँ कोई और थी मिरा वाक़िआ कोई और है
वही मुंसिफ़ों की रिवायतें वही फ़ैसलों की इबारतें
मिरा जुर्म तो कोई और था प मिरी सज़ा कोई और है
कभी लौट आएँ तो पूछना नहीं देखना उन्हें ग़ौर से
जिन्हें रास्ते में ख़बर हुई कि ये रास्ता कोई और है
जो मिरी रियाज़त-ए-नीम-शब को 'सलीम' सुब्ह न मिल सकी
तो फिर इस के मअ'नी तो ये हुए कि यहाँ ख़ुदा कोई और है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saleem Kausar
our suggestion based on Saleem Kausar
As you were reading Qismat Shayari Shayari