kahaani likhte hue dastaan sunaate hue | कहानी लिखते हुए दास्ताँ सुनाते हुए

  - Saleem Kausar

kahaani likhte hue dastaan sunaate hue
vo so gaya hai mujhe khwaab se jagaate hue

diye ki lau se chhalakta hai us ke husn ka aks
singaar karte hue aaina sajaate hue

ab is jagah se kai raaste nikalte hain
main gum hua tha jahaan raasta bataate hue

pukaarte hain unhen sahilon ke sannaate
jo log doob gaye kashtiyaan banaate hue

phir us ne mujh se kisi baat ko chhupaaya nahin
vo khul gaya tha kisi baat ko chhupaate hue

mujhi mein tha vo sitaara-sifat ki jis ke liye
main thak gaya hoon zamaane ki khaak udaate hue

mazaaron aur munderon ke rat-jagon mein saleem
badan pighalne lage hain diye jalate hue

कहानी लिखते हुए दास्ताँ सुनाते हुए
वो सो गया है मुझे ख़्वाब से जगाते हुए

दिए की लौ से छलकता है उस के हुस्न का अक्स
सिंगार करते हुए आईना सजाते हुए

अब इस जगह से कई रास्ते निकलते हैं
मैं गुम हुआ था जहाँ रास्ता बताते हुए

पुकारते हैं उन्हें साहिलों के सन्नाटे
जो लोग डूब गए कश्तियाँ बनाते हुए

फिर उस ने मुझ से किसी बात को छुपाया नहीं
वो खुल गया था किसी बात को छुपाते हुए

मुझी में था वो सितारा-सिफ़त कि जिस के लिए
मैं थक गया हूँ ज़माने की ख़ाक उड़ाते हुए

मज़ारों और मुंडेरों के रत-जगों में 'सलीम'
बदन पिघलने लगे हैं दिए जलाते हुए

  - Saleem Kausar

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saleem Kausar

As you were reading Shayari by Saleem Kausar

Similar Writers

our suggestion based on Saleem Kausar

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari