bahaarein kab labon ko kholti hain
badi hasrat se kaliyaan dekhti hain
bhale khaamosh hain ye lab tumhaare
magar aankhe bahut kuchh bolti hain
ameer-e-shahr ka qabza hai lekin
ghareebon kii deewarein tootti hain
samundar ko kahaan khushki ka dar hai
vo nadiya hain jo akshar sookhti hain
na jaane kab hata den zulf apni
unhen ek tak ye aankhen dekhti hain
raza hai rab ka ye ahsaan mujhpar
jo khushiyaan mere ghar mein khelti hain
बहारें कब लबों को खोलती हैं
बड़ी हसरत से कलियाँ देखती हैं
भले ख़ामोश हैं ये लब तुम्हारे
मगर आँखे बहुत कुछ बोलती हैं
अमीर-ए-शहर का क़ब्ज़ा है लेकिन
ग़रीबों की दीवारें टूटती हैं
समुंदर को कहाँ ख़ुश्की का डर है
वो नदिया हैं जो अक्सर सूखती हैं
न जाने कब हटा दें ज़ुल्फ अपनी
उन्हें एक टक ये आँखें देखती हैं
रज़ा है रब का ये अहसान मुझपर
जो खुशियाँ मेरे घर में खेलती हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Terrorism Shayari Shayari