boodhi aankhon mein bhi kitne khwaab sajaaye baithe hain | बूढ़ी आँखों में भी कितने ख़्वाब सजाए बैठे हैं

  - SALIM RAZA REWA

boodhi aankhon mein bhi kitne khwaab sajaaye baithe hain
jaane kab honge poore ummeed lagaaye baithe hain


dil kii baat zubaan tak aaye ye naa-mumkin lagta hai

khaamoshi mein jaane kitne raaz chhupaaye baithe hain
kisko dil ka dard bataayein kisko haal sunaayein ham

khud hi apni majboori ka bojh uthaaye baithe hain
vo bhi badal jaayenge ik din aisi hamein ummeed na thi

jinke pyaar mein ham apna ghar-baar lutaaye baithe hain
kaun hai apna kaun paraaya kaise raza pehchaanoge

chehron par to harami chehre log lagaaye baithe hain

बूढ़ी आँखों में भी कितने ख़्वाब सजाए बैठे हैं
जाने कब होंगे पूरे उम्मीद लगाए बैठे हैं

 
दिल की बात ज़ुबाँ तक आए ये ना-मुमकिन लगता है

ख़ामोशी में जाने कितने राज़ छुपाए बैठे हैं
किसको दिल का दर्द बताएँ किसको हाल सुनाएँ हम

ख़ुद ही अपनी मजबूरी का बोझ उठाए बैठे हैं
वो भी बदल जाएँगे इक दिन ऐसी हमें उम्मीद न थी

जिनके प्यार में हम अपना घर-बार लुटाए बैठे हैं
कौन है अपना कौन पराया कैसे 'रज़ा' पहचानोगे

चेहरों पर तो फ़र्ज़ी चेहरे लोग लगाए बैठे हैं

  - SALIM RAZA REWA

Good morning Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SALIM RAZA REWA

As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA

Similar Writers

our suggestion based on SALIM RAZA REWA

Similar Moods

As you were reading Good morning Shayari Shayari