faqat tere nazdeek aane se pehle
bahut gham sahe muskuraane se pehle
bahaaron ka ik shaamiyaana bana do
khizaon ke gulshan mein aane se pehle
zamaane ko tumne diya kya hai socho
zamaane pe ungli uthaane se pehle
ghareebon kii aahon se kaise bachoge
zara sochna dil dukhaane se pehle
vo meri mohabbat se raushan hua hai
fazaaon mein yun jagmagane se pehle
kabhi chal ke sholon pe bhi dekhiyega
raza dil kii basti jalane se pehle
फ़क़त तेरे नज़दीक आने से पहले
बहुत ग़म सहे मुस्कुराने से पहले
बहारों का इक शामियाना बना दो
ख़िज़ाओं के गुलशन में आने से पहले
ज़माने को तुमने दिया क्या है सोचो
ज़माने पे उँगली उठाने से पहले
ग़रीबों की आहों से कैसे बचोगे
ज़रा सोचना दिल दुखाने से पहले
वो मेरी मोहब्बत से रौशन हुआ है
फ़ज़ाओं में यूँ जगमगाने से पहले
कभी चल के शोलों पे भी देखिएगा
रज़ा दिल की बस्ती जलाने से पहले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Gulshan Shayari Shayari