samajh raha tha jise apna waqai ab tak
vo kar raha tha mere dil se dil-lagi ab tak
haseen jaal mohabbat ka feknne waale
samajh chuka hoon har ik chaal main teri ab tak
mere badan ka lahu khushk ho gaya hota
agar na hoti mere jism mein nami ab tak
radif qaafiya bandish khayal sab tu hai
main tere naam se karta hoon shaayari ab tak
uchhal-uchhal ke khushi naachti thi aangan mein
khatk rahi hai usi baat kii kami ab tak
vo jiske husn ka charcha tha saare aalam mein
bhatak rahi hai vo galiyon mein bawri ab tak
umad raha hai samandar mere khayaalon ka
tapak rahi hai nigaahon se aagahi ab tak
समझ रहा था जिसे अपना वाक़ई अब तक
वो कर रहा था मेरे दिल से दिल-लगी अब तक
हसीन जाल मोहब्बत का फेंकने वाले
समझ चुका हूँ हर इक चाल मैं तेरी अब तक
मेरे बदन का लहू ख़ुश्क हो गया होता
अगर न होती मेरे जिस्म में नमी अब तक
रदीफ़ क़ाफ़िया बंदिश ख़याल सब तू है
मैं तेरे नाम से करता हूँ शाइरी अब तक
उछल-उछल के ख़ुशी नाचती थी आँगन में
खटक रही है उसी बात की कमी अब तक
वो जिसके हुस्न का चर्चा था सारे आलम में
भटक रही है वो गलियों में बावरी अब तक
उमड़ रहा है समंदर मेरे ख़यालों का
टपक रही है निगाहों से आगही अब तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Duniya Shayari Shayari